Ghar baithe Paise Kaise Kamaye | Namaskar dosto apka is blog me swagat hai. Aaj ki is post me hum bat karenge ki hum online paise kaise kma skte hai. Jaisa ki hum jante hai aajkal sb kuch digital ho rha to mai apko kehna chahunga ab online field me kafi scope badh rha hai bahut sare log ab internet se ghar baithe asani se paise kma rahe hai.
Agr aap bhi online paise kamane chahte hai to ye article apke liye hai kyunki aaj mai is blog post me kuch tarike btane wala hu jisse aap online paise kma skte hai.
Dosto YouTube aajkl kon nahi dekhta jab se jio aaya hai tabse India me YouTube kafi popular hua hai. Agr apke andr koi skill ya art hai to apna YouTube channel bnaye.
Or apni skill ya art ko online share kare jab apka channel popular ho jaye to aap AdSense ke liye apply kare. Jab YouTube apka channel monetaization ke liye approve kr de to aap isse paise kma skte hai.
Dosto agr apko likhna pasand hai to aap ek website bna sakte hai or aap wha apni knowledge ya interest ke base pr article likh ke publish kare. Aap apne blog or website ko bhi AdSense se approve kra skte hai jisse apke blog pr ads show hongi or usse aap online earning kar sakte hai.
Kayi log affiliate marketing ke bare me nahi jante hai lekin ye ek badhiya or trusted source hai jisse aap asani se online earning kar skte hai. Dosto mai apko btana chahunga kayi websites aapne affiliate programme provide karti hai jise ap join kr skte hai.
Affiliate join krne ke bad aap unke product apne blog ya YouTube channel me promote kar sakte hai jab aap unke kisi product ko sell karwa dete hai tab apko wah website kuch commission deti hai.
Facebook to hum sb hi chalate hai chat krne ke liye friend bnane ke liye. Lekin kya apne socha hai aap facebook se bhi paise kama skte hai. Facebook ne kuch din phle hi apna ek programme launch kiya the jha aap youtube ki trh video upload kr ke paise kama skte hai.
Aajkal bahut sari link shortner website available hai isme apko kuch nahi krna hota bs kisi link shortner site me join hona hai. Iske baad apne kisi bhi link ko us website ki madad se short karna hai or usse promote krna hai.
Iske liye har website ka alg rate hota hai lekin average ap 1000 view ke 5-7 $ asani se kma skte hai. Kisi bhi link shortner ko join krne se phle uske review jarur check kare.
Dosto agr apke pas kisi parkar ki skill hai to apko freelancing jarur join karna chahiye. Yha aap different clients ke liye work krte hai koi bhi particular company ya client apka boss nahi hota. Aap free hote hai koi bhi kaam krne ke liye isme aap data entry, content writing, photo editing, video editing etc kr sakte hai.
Aajkal ebook bhi kafi popular hai agr apke pas koi knowledge hai jise ap logo tak share karna chahte hai or usse paise kmana chahte hai to aap ebook se bhi paise kma skte hai.
Aap ebook likh ke use sell kr sakte hai iske liye kayi platform available hai jaise ki instamojo, amazone kindle yha pr ap apni ebooks ko sell kr sakte hai.
Agr ap uc browser use karte hai to apne jarur niche ati huyi news padhi hongi. Dosto kya apko pta hai aap bhi yha apne interest ke according yha article likh sakte hai or usse paise kma sakte hai.
To dosto ye the kuch online paise kamane ke tarike ummid hai apko pasand aaye honge or aap bhi jald hi online paise kamana suru karenge. Agr apko ye article pasand aaye to share jarur kare.
Guest Post By HowTechno | Submit Guest Post